Saneha Roz Naya Ho To Ghazal Kya Kahiye

saneha roz naya ho to ghazal kya kahiye

har taraf hashr bapa ho to ghazal kya kahiye

barbariyyat pe hi qadghan hai na saffaki par

raqs-e-iblis rawa ho to ghazal kya kahiye

tir-e-baran mere pindar pe hain ahl-e-jafa

izzat-e-nafs fana ho to ghazal kya kahiye

bolna bhi yahan dushwar hai chup rahna bhi

qufl honTon pe laga ho to ghazal kya kahiye

ek nasur sa hai dil ki jagah sine mein

zaKHm andar se hara ho to ghazal kya kahiye

bhuk ne talKHiyan bhar di hain lab-o-lahje mein

zahr faqon mein ghula ho to ghazal kya kahiye

dam gharibi mein nikalta na Thaharta hai 'rabab'

zindagi sard chita ho to ghazal kya kahiye

(918) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saneha Roz Naya Ho To Ghazal Kya Kahiye In English By Famous Poet Zafar Rabab. Saneha Roz Naya Ho To Ghazal Kya Kahiye is written by Zafar Rabab. Read famous Poem Saneha Roz Naya Ho To Ghazal Kya Kahiye for youth and Student by Zafar Rabab. Free Download Saneha Roz Naya Ho To Ghazal Kya Kahiye in PDF.