Ai Ham-safar Ye Rah-bari Ka Guman ChhoD

ai ham-safar ye rah-bari ka guman chhoD

kis ne kaha hai tujh se qadam ke nishan chhoD

phir dekh zindagi ke maze tajrabon ke rang

bahar qadam nikal zara saeban chhoD

ab dosti nahin na sahi dushmani sahi

koi to rabte ki kaDi darmiyan chhoD

us ki wafaen sirf hawaon ke sath hain

ye etimad-e-dosti-e-baadban chhoD

talwar ki zaban samajhne lage hain log

ab ye mahatmaon ka tarz-e-bayan chhoD

jo tere sar-parast the kab ke chale gae

firqa-parasti tu bhi ye hindostan chhoD

baqi jo bach rahe hain wo circus ke sher hain

murda hua ye dasht shikari machan chhoD

(1082) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Ham-safar Ye Rah-bari Ka Guman ChhoD In English By Famous Poet Zafar Sahbai. Ai Ham-safar Ye Rah-bari Ka Guman ChhoD is written by Zafar Sahbai. Read famous Poem Ai Ham-safar Ye Rah-bari Ka Guman ChhoD for youth and Student by Zafar Sahbai. Free Download Ai Ham-safar Ye Rah-bari Ka Guman ChhoD in PDF.