Aks ZaKHmon Ka Jabin Par Nahin Aane Deta

aks zaKHmon ka jabin par nahin aane deta

main KHarash apne yaqin par nahin aane deta

is liye main ne KHata ki thi ki duniya dekhun

warna wo mujh ko zamin par nahin aane deta

umr bhar sinchte rahne ki saza pai hai

peD ab chhanw hamin par nahin aane deta

jhuT bhi sach ki tarah bolna aata hai use

koi luknat bhi kahin par nahin aane deta

apne is ahd ka insaf hai taqat ka ghulam

aanch bhi kursi-nashin par nahin aane deta

chahta hun ki use pujna chhoDun lekin

kufr jo KHun mein hai din par nahin aane deta

(1014) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aks ZaKHmon Ka Jabin Par Nahin Aane Deta In English By Famous Poet Zafar Sahbai. Aks ZaKHmon Ka Jabin Par Nahin Aane Deta is written by Zafar Sahbai. Read famous Poem Aks ZaKHmon Ka Jabin Par Nahin Aane Deta for youth and Student by Zafar Sahbai. Free Download Aks ZaKHmon Ka Jabin Par Nahin Aane Deta in PDF.