Amir-e-shahr Is Ek Baat Se KHafa Hai Bahut

amir-e-shahr is ek baat se KHafa hai bahut

ki shahar bhar mein sag-e-dard chiKHta hai bahut

har ek zaKHm se zaKHmon ki konplen phuTin

jo bagh tum ne lagaya tha ab hara hai bahut

zara si narm-rawi se pahunch gae dil tak

tanaw tha to samajhte the fasla hai bahut

jo dam ghuTe to shikayat na kijiye sahab

ki sans lene ko zahron bhari hawa hai bahut

charagh lakhon hon raushan nazar nahin aate

yahan to chehra-paraston ko ek diya hai bahut

ye tai hai mujh se kabhi tark haq nahin hoga

ki meri KHak mein ye kimiya mila hai bahut

mumasalat ke hawalon mein mat talash karo

umumiyat se hamari ghazal juda hai bahut

(1010) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Amir-e-shahr Is Ek Baat Se KHafa Hai Bahut In English By Famous Poet Zafar Sahbai. Amir-e-shahr Is Ek Baat Se KHafa Hai Bahut is written by Zafar Sahbai. Read famous Poem Amir-e-shahr Is Ek Baat Se KHafa Hai Bahut for youth and Student by Zafar Sahbai. Free Download Amir-e-shahr Is Ek Baat Se KHafa Hai Bahut in PDF.