Badan Par Sabz Mausam Chha Rahe Hain

badan par sabz mausam chha rahe hain

magar arman sab murjha rahe hain

purane gham kahan hijrat karenge

dukanon par nae gham aa rahe hain

ghalatiyan agle waqton se hui hain

magar sadiyon se hum pachhta rahe hain

yahan hai boriya ab bhi nadarat

bahut din baad wo ghar aa rahe hain

miyan bairun-o-baatin ek rakkho

munafiq bhi hamein samjha rahe hain

samajhte hain abhi wo tifl-e-maktab

khilaunon se hamein bahla rahe hain

ghalazat mein paDi hai ruh jin ki

libason ko bahut chamka rahe hain

bhanwar ka hukm hai dariya pe jari

kinare naw se katra rahe hain

karun kis kis ka matam bari bari

KHazane Dubte hi ja rahe hain

(758) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Par Sabz Mausam Chha Rahe Hain In English By Famous Poet Zafar Sahbai. Badan Par Sabz Mausam Chha Rahe Hain is written by Zafar Sahbai. Read famous Poem Badan Par Sabz Mausam Chha Rahe Hain for youth and Student by Zafar Sahbai. Free Download Badan Par Sabz Mausam Chha Rahe Hain in PDF.