Hare Patto Sunahri Dhup Ki Qurbat Mein KHush Rahna

hare patto sunahri dhup ki qurbat mein KHush rahna

magar mumkin nahin hai ek si haalat mein KHush rahna

magan rahte hain ye buDhe shajar apni kathaon mein

unhen aata hai apne zehn ki jannat mein KHush rahna

hum insanon ko phir jine ka maqsad hi nahin milta

likha hota jo us ne sab ki hi qismat mein KHush rahna

ye aansu chaar din ke hain ye aansu sukh jaenge

sikha denge tumhein haalat har surat mein KHush rahna

main apne zaKHm akasr is liye bhi noch leta hun

kahin shamil na ho jae meri aadat mein KHush rahna

sukun-e-dil ganwa baiThoge tum fitrat se laDne mein

jo chaho aafiyat apne qad-o-qamat mein KHush rahna

pukara umr ko KHushiyon ne jab masruf the behad

samay se sikh lete kash hum fursat mein KHush rahna

(1355) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hare Patto Sunahri Dhup Ki Qurbat Mein KHush Rahna In English By Famous Poet Zafar Sahbai. Hare Patto Sunahri Dhup Ki Qurbat Mein KHush Rahna is written by Zafar Sahbai. Read famous Poem Hare Patto Sunahri Dhup Ki Qurbat Mein KHush Rahna for youth and Student by Zafar Sahbai. Free Download Hare Patto Sunahri Dhup Ki Qurbat Mein KHush Rahna in PDF.