Gul Hain To Aap Apni Hi KHushbu Mein Sochiye

gul hain to aap apni hi KHushbu mein sochiye

jo kuchh bhi sochna hai wo urdu mein sochiye

dil mein agar nahin hai kisi zaKHm ki numud

surKHi kahan se aa gai aansu mein sochiye

ye masala nahin ki jalenge kahan charagh

kaise hawaen aaengi qabu mein sochiye

yun sarsari guzariye na us dasht-e-karb se

wahshat ki iztirab hai aahu mein sochiye

kuchh to KHabar nikaliye kaise laga ye rog

kyun Dhal raha hai aadmi wastu mein sochiye

ki aap ne jo pursish-e-ahwal shukriya

hum kaise honge saltanat-e-hu mein sochiye

KHud puchhti hai aap se tanhai aap ki

mahtab kyun hai raat ke pahlu mein sochiye

wo jis ka qurb aap ko milna muhaal ho

kya ho jo baiTh jae wo bazu mein sochiye

(1127) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gul Hain To Aap Apni Hi KHushbu Mein Sochiye In English By Famous Poet Zafar Sahbai. Gul Hain To Aap Apni Hi KHushbu Mein Sochiye is written by Zafar Sahbai. Read famous Poem Gul Hain To Aap Apni Hi KHushbu Mein Sochiye for youth and Student by Zafar Sahbai. Free Download Gul Hain To Aap Apni Hi KHushbu Mein Sochiye in PDF.