Rakha Hai Bazm Mein Usne Charagh Kar Ke Mujhe

rakha hai bazm mein us ne charagh kar ke mujhe

abhi to sunna hai afsane raat bhar ke mujhe

ye baat to mere KHwab-o-KHayal mein bhi na thi

sataenge dar-o-diwar mere ghar ke mujhe

main chahta tha kisi peD ka ghana saya

duaen dhup ne bheji hain sahn bhar ke mujhe

wo mera hath to chhoDen ki main qadam moDun

bula rahe hain nae raste safar ke mujhe

charagh roe hai jagmag kiya tha jin ka nasib

wo log bhul gae taqche mein dhar ke mujhe

main apne aap mein wahshat ka ek tamasha tha

hawaen phul banati rahin katar ke mujhe

tamam azmaten mashkuk ho gain jaise

wo uthla-pan mila gahrai mein utar ke mujhe

dilon ke beach na diwar hai na sarhad hai

dikhai dete hain sab fasle nazar ke mujhe

(971) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rakha Hai Bazm Mein Usne Charagh Kar Ke Mujhe In English By Famous Poet Zafar Sahbai. Rakha Hai Bazm Mein Usne Charagh Kar Ke Mujhe is written by Zafar Sahbai. Read famous Poem Rakha Hai Bazm Mein Usne Charagh Kar Ke Mujhe for youth and Student by Zafar Sahbai. Free Download Rakha Hai Bazm Mein Usne Charagh Kar Ke Mujhe in PDF.