Umr-e-abad Ka Ma-hasal Ishq Ka Daur-e-na-tamam

umr-e-abad ka ma-hasal ishq ka daur-e-na-tamam

hae wo masti-e-sahar hae wo be-KHudi-e-sham

pahle maal soch len ham-safaran-e-sust-gam

meri sarisht mein nahin KHwahish-e-manzil-o-maqam

tair-e-KHasta-haal ko dam bhi kunj-e-ashiyan

murgh-e-chaman-naward ko gosha-e-ashiyan bhi dam

ab bhi KHuda-parast hai dair-o-haram ki qaid mein

hae-nigah-e-na-rasa hae-mazaq-e-na-tamam

kaif-e-nazar ki mastiyan ahl-e-nazar se puchhiye

jaise koi pila gaya baada-e-mushk-bu ke jam

KHubi-o-shan-e-dil-bari ghamza-o-naz hi nahin

husn mein wo ada bhi hai jis ka nahin hai koi nam

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umr-e-abad Ka Ma-hasal Ishq Ka Daur-e-na-tamam In English By Famous Poet Zafar Taban. Umr-e-abad Ka Ma-hasal Ishq Ka Daur-e-na-tamam is written by Zafar Taban. Read famous Poem Umr-e-abad Ka Ma-hasal Ishq Ka Daur-e-na-tamam for youth and Student by Zafar Taban. Free Download Umr-e-abad Ka Ma-hasal Ishq Ka Daur-e-na-tamam in PDF.