Buton Se Bach Ke Chalne Par Bhi Aafat Aa Hi Jati Hai

buton se bach ke chalne par bhi aafat aa hi jati hai

ye kafir wo qayamat hain tabiat aa hi jati hai

ye sab kahne ki baaten hain hum un ko chhoD baiThen hain

jab aankhen chaar hoti hain murawwat aa hi jati hai

wo apni shoKHiyon se koi ab tak baz aate hain

hamesha kuchh na kuchh dil mein shararat aa hi jati hai

hamesha ahd hote hain nahin milne ke ab un se

wo jab aa kar lipaTte hain mohabbat aa hi jati hai

kahin aaram se do din falak rahne nahin deta

hamesha ek na ek sar par musibat aa hi jati hai

mohabbat dil mein dushman ki bhi apna rang lati hai

wo kitne be-murawwat hon murawwat aa hi jati hai

'zahir'-e-KHasta-jaan shab so raha kuchh kha ke sunte hain

tajjub kya hai insan ko hamiyyat aa hi jati hai

(1002) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Buton Se Bach Ke Chalne Par Bhi Aafat Aa Hi Jati Hai In English By Famous Poet Zaheer Dehlvi. Buton Se Bach Ke Chalne Par Bhi Aafat Aa Hi Jati Hai is written by Zaheer Dehlvi. Read famous Poem Buton Se Bach Ke Chalne Par Bhi Aafat Aa Hi Jati Hai for youth and Student by Zaheer Dehlvi. Free Download Buton Se Bach Ke Chalne Par Bhi Aafat Aa Hi Jati Hai in PDF.