Pan Ban Ban Ke Meri Jaan Kahan Jate Hain

pan ban ban ke meri jaan kahan jate hain

ye mere qatl ke saman kahan jate hain

sar agar jae to jae magar ai KHanjar-e-yar

sar se apne tere ehsan kahan jate hain

baad marne ke bhi miTTi meri barbaad rahi

meri taqdir ke nuqsan kahan jate hain

haal khulta nahin in KHwesh-faramoshon ka

roz ke roz ye mehman kahan jate hain

kis ki aashufta-mizaji ka KHayal aaya hai

aap hairan pareshan kahan jate hain

aaj kis munh se meri dil-shikani hoti hai

aaj wo aap ke mehman kahan jate hain

ai 'zahir' ab ye khula haal baDi dur hain aap

aap jate hain jahan dhyan kahan jate hain

(1557) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pan Ban Ban Ke Meri Jaan Kahan Jate Hain In English By Famous Poet Zaheer Dehlvi. Pan Ban Ban Ke Meri Jaan Kahan Jate Hain is written by Zaheer Dehlvi. Read famous Poem Pan Ban Ban Ke Meri Jaan Kahan Jate Hain for youth and Student by Zaheer Dehlvi. Free Download Pan Ban Ban Ke Meri Jaan Kahan Jate Hain in PDF.