PhaTa PaDta Hai Joban Aur Josh-e-nau-jawani Hai

phaTa paDta hai joban aur josh-e-nau-jawani hai

wo ab to KHud-ba-KHud jame se bahar hote jate hain

nazar hoti hai jitni un ko apne husn-e-surat par

sitamgar be-murawwat kina-parwar hote jate hain

bhala is husn-e-zebai ka un ke kya Thikana hai

ki jitne aib hain duniya mein zewar hote jate hain

abhi hai taza taza shauq-e-KHud-bini abhi kya hai

abhi wo KHair se naKHwat ke KHugar hote jate hain

wo yun bhi mah-e-talat hain magar shoKHi qayamat hai

ki jitne bad-maza hote hain KHush-tar hote jate hain

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

PhaTa PaDta Hai Joban Aur Josh-e-nau-jawani Hai In English By Famous Poet Zaheer Dehlvi. PhaTa PaDta Hai Joban Aur Josh-e-nau-jawani Hai is written by Zaheer Dehlvi. Read famous Poem PhaTa PaDta Hai Joban Aur Josh-e-nau-jawani Hai for youth and Student by Zaheer Dehlvi. Free Download PhaTa PaDta Hai Joban Aur Josh-e-nau-jawani Hai in PDF.