Aaine Mein KHud Apna Chehra Hai

aaine mein KHud apna chehra hai

phir bhi kyun ajnabi sa lagta hai

jis pe insaniyat ko naz tha kal

ab wo sab se baDa darinda hai

fikr bhi hai ajib sa jangal

jis ka mausam badalta rahta hai

kaise apni giraft mein aae

aagahi ek basit dariya hai

is mein zulmat panap nahin sakti

zehn suraj ki tab rakhta hai

wo samajhta hai aaine ki bisat

jis ne patthar kabhi tarasha hai

kya hamari wafa-shiari se

har jagah intishaar barpa hai

(979) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaine Mein KHud Apna Chehra Hai In English By Famous Poet Zaheer Ghazipuri. Aaine Mein KHud Apna Chehra Hai is written by Zaheer Ghazipuri. Read famous Poem Aaine Mein KHud Apna Chehra Hai for youth and Student by Zaheer Ghazipuri. Free Download Aaine Mein KHud Apna Chehra Hai in PDF.