Aise Lamhe Par Hamein Qurban Ho Jaana PaDa

aise lamhe par hamein qurban ho jaana paDa

ek hi laghzish mein jab insan ho jaana paDa

be-niyazana guzarne par uThin jab ungliyan

mujh ko apne ahd ki pahchan ho jaana paDa

zindagi jab na-shanasi ki saza banti gai

rabton ki KHud mujhe mizan ho jaana paDa

reza reza apna paikar ek nai tartib mein

canwas par dekh kar hairan ho jaana paDa

saaton ki aahani zanjir mein jakDi hui

sans ki tartib par qurban ho jaana paDa

wo to lamhon ke sisakte daeron mein qaid hai

jis ko apne aap se anjaan ho jaana paDa

ek paheli ki tarah na-faham the hum bhi 'zahir'

aap ki KHatir magar aasan ho jaana paDa

(914) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aise Lamhe Par Hamein Qurban Ho Jaana PaDa In English By Famous Poet Zaheer Ghazipuri. Aise Lamhe Par Hamein Qurban Ho Jaana PaDa is written by Zaheer Ghazipuri. Read famous Poem Aise Lamhe Par Hamein Qurban Ho Jaana PaDa for youth and Student by Zaheer Ghazipuri. Free Download Aise Lamhe Par Hamein Qurban Ho Jaana PaDa in PDF.