Ahl-e-dil Milte Nahin Ahl-e-nazar Milte Nahin

ahl-e-dil milte nahin ahl-e-nazar milte nahin

zulmat-e-dauran mein KHurshid-e-sahr milte nahin

manzilon ki justuju ka tazkira be-sud hai

DhunDne niklo to ab apne hi ghar milte nahin

aadmi TukDon ki surat mein hua hai muntashir

wahdat-e-fikr-o-nazar wale bashar milte nahin

raste raushan hain aasar-e-safar madum hain

bastiyan maujud hain diwar-o-dar milte nahin

zauq-e-nazzara dilon mein dafn ho kar rah gaya

aankh walon mein bhi ab ahl-e-nazar milte nahin

baDh gae hain is qadar qalb o nazar ke fasle

sath ho kar ham-safar se ham-safar milte nahin

zehn ki chaTyal zamin se aanch aati hai 'zahir'

ab yahan ehsas ke rangin shajar milte nahin

(951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ahl-e-dil Milte Nahin Ahl-e-nazar Milte Nahin In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Ahl-e-dil Milte Nahin Ahl-e-nazar Milte Nahin is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Ahl-e-dil Milte Nahin Ahl-e-nazar Milte Nahin for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Ahl-e-dil Milte Nahin Ahl-e-nazar Milte Nahin in PDF.