Hijr O Visal Ki Sardi Garmi Sahta Hai

hijr o visal ki sardi garmi sahta hai

dil darwesh hai phir bhi raazi rahta hai

phul se itna rabt baDhana Thik nahin

qatra-e-shabnam uDte uDte kahta hai

is kuTiya ko Dhane wale ghaur se sun

is kuTiya mein tera dhyan bhi rahta hai

har aansu mein aatish ki aamezish hai

dil mein shayad aag ka dariya bahta hai

mujh se bichhaD kar pahron roya karta tha

wo jo mere haal pe hansta rahta hai

dil ko shayad fasl-e-bahaaran ras nahin

bagh mein rah kar KHushbu ke dukh sahta hai

main ne us ko apna masiha man liya

sara zamana jis ko qatil kahta hai

tara tara hijr ke qissa phaile hain

aansu aansu dil ka sagar bahta hai

un honTon se yun risti hai baat 'zahir'

jaise ek naghmon ka jharna bahta hai

(949) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hijr O Visal Ki Sardi Garmi Sahta Hai In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Hijr O Visal Ki Sardi Garmi Sahta Hai is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Hijr O Visal Ki Sardi Garmi Sahta Hai for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Hijr O Visal Ki Sardi Garmi Sahta Hai in PDF.