Is Daur-e-afiyat Mein Ye Kya Ho Gaya Hamein

is daur-e-afiyat mein ye kya ho gaya hamein

patta samajh ke le uDi wahshi hawa hamein

patthar bane hain ijz bayanon ke samne

taKHliq-e-fan ka KHub mila hai sila hamein

hum ko tulu-e-subh-e-bahaaran ki thi talash

is jurm ki saza hai ye zanjir-e-pa hamein

ye daur-e-tez-gam bhi hai un se be-KHabar

wo manzilen jo de gain apna pata hamein

rah-e-talab simaT ke qadam chumne lagi

jab bhi koi harif-e-safar mil gaya hamein

zulmat ka daur kuchh bhi sahi satr-posh tha

kab raushni ne jeb-o-gareban diya hamein

pas-manzar-e-bahaar se hum be-KHabar na the

ras aa saki na KHanda-e-gul ki sada hamein

hum ko to nazr-e-sail hue umr ho gai

kashti mein DhunDhta hai magar naKHuda hamein

(904) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Daur-e-afiyat Mein Ye Kya Ho Gaya Hamein In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Is Daur-e-afiyat Mein Ye Kya Ho Gaya Hamein is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Is Daur-e-afiyat Mein Ye Kya Ho Gaya Hamein for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Is Daur-e-afiyat Mein Ye Kya Ho Gaya Hamein in PDF.