Ishq Ek Hikayat Hai Sarfarosh Duniya Ki

ishq ek hikayat hai sarfarosh duniya ki

hijr ek masafat hai be-nigar sahra ki

un ke ru-ba-ru nikle nutq o lafz be-mani

baat hi ajab lekin KHamushi ne paida ki

waqt ke tasalsul mein hum ba-rang-e-shoala the

umr-e-yak-nafas mein bhi raushni the duniya ki

hum ko sahal-angari gharq kar chuki hoti

himmat-afrin nikli lahar lahar dariya ki

yun to wo farokash the jada-e-rag-e-jaan mein

mawara-e-imkan thi raushni kaf-e-pa ki

sham-e-mahfil-e-yak-shab aur tul-e-fikr itna

kaun shaKHs tha jis ne aarzu-e-farda ki

hum bhi hain niko-surat hum bhi nek-sirat hain

hum ne bandagi ki hai ek jamal-e-rana ki

(946) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ek Hikayat Hai Sarfarosh Duniya Ki In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Ishq Ek Hikayat Hai Sarfarosh Duniya Ki is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Ishq Ek Hikayat Hai Sarfarosh Duniya Ki for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Ishq Ek Hikayat Hai Sarfarosh Duniya Ki in PDF.