Ishq Jab Tak Na Aas-pas Raha
ishq jab tak na aas-pas raha
husn tanha raha udas raha
ek hasin wahima hasin dhoka
muddaton markaz-e-qayas raha
ishq ko ajnabi samajh ke mila
husn kitna ada-shanas raha
fasl-e-gul mein hujum-e-gul ki jagah
har taraf ek hujum-e-yas raha
kis ka daman raha hai be-paiwand
kaun aasuda-e-libas raha
wo jise tera mustaqil gham hai
teri mahfil mein bhi udas raha
hae wo KHanda-e-KHafi ki 'zahir'
dil pasheman-e-iltimas raha
(982) Peoples Rate This