Kuchh Bas Na Chala Jazba-e-KHud-kaam Ke Aage

kuchh bas na chala jazba-e-KHud-kaam ke aage

jhukna hi paDa us but-e-badnam ke aage

ek aur bhi hasrat hai pas-e-hasrat-e-didar

ek aur bhi aaghaz hai anjam ke aage

aa aur idhar koi tajalli ki kiran phenk

baiThe hain gada tere dar-o-baam ke aage

ye ishq hai bazicha-e-atfal nahin hai

kuchh aur bhi hai kucha-e-asnam ke aage

yun un ki jafaon se mili hum ko basirat

hum jhuk na sake gardish-e-ayyam ke aage

din Dhalne laga dil-zadagan dil ki KHabar lo

ek silsila-e-hijr bhi hai sham ke aage

ab kuchh bhi nahin hasil-e-tadbir-e-mohabbat

ab kuchh bhi nahin nama-o-paigham ke aage

ek sehr sa tari tha 'zahir' ahl-e-KHirad par

the mohr-ba-lab husn-e-dil-aram ke aage

(922) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Bas Na Chala Jazba-e-KHud-kaam Ke Aage In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Kuchh Bas Na Chala Jazba-e-KHud-kaam Ke Aage is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Kuchh Bas Na Chala Jazba-e-KHud-kaam Ke Aage for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Kuchh Bas Na Chala Jazba-e-KHud-kaam Ke Aage in PDF.