Main Hun Wahshat Mein Gum Main Teri Duniya Mein Nahin Rahta

main hun wahshat mein gum main teri duniya mein nahin rahta

bagula raqs mein rahta hai sahra mein nahin rahta

baDi muddat se tera husn dal bin kar dhaDakta hai

baDi muddat se dil teri tamanna mein nahin rahta

ye pani hai magar mizhgan ki shaKHon par sulagta hai

ye moti hai magar daman-e-dariya mein nahin rahta

wo jalwa jo sukut-e-bazm-e-yaktai mein rahta hai

wo jalwa shorish-e-pinhan-o-paida mein nahin rahta

na koi mauj-e-ranai na koi sail-e-zebai

koi tufan bhi ab chashm-e-tamasha mein nahin rahta

ajab kya la-makan ko ek naya zindan samajh baiThe

ye diwana had-e-imroz-o-farda mein nahin rahta

'zahir' ek rishta-e-wahshat liye phirta hai majnun ko

wagarna koi apne aap sahra mein nahin rahta

(1465) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Hun Wahshat Mein Gum Main Teri Duniya Mein Nahin Rahta In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Main Hun Wahshat Mein Gum Main Teri Duniya Mein Nahin Rahta is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Main Hun Wahshat Mein Gum Main Teri Duniya Mein Nahin Rahta for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Main Hun Wahshat Mein Gum Main Teri Duniya Mein Nahin Rahta in PDF.