Shab-e-mahtab Bhi Apni Bhari-barsat Bhi Apni

shab-e-mahtab bhi apni bhari-barsat bhi apni

tumhaare dam-qadam se zindagi thi zindagi apni

yahan pabandi, naraazi, jununi baat hai warna

jamal-e-yar se kuchh kam nahin tabindagi apni

mujhe shadabi-e-sahne-e-chaman se KHauf aata hai

yahi andaz the jab luT gai thi zindagi apni

tumhaara gham ise aashob-e-sarasar bachae ga

hawaon se bhaDak uTThi hai sham-e-zindagi apni

magar tum bhi to ek bu-e-gurezan ki tarah nikle

guzarne ko guzar jati bahaar-e-dosti apni

zahir is chashm-e-awwal pe yunhi mahsus hota hai

baDi muddat se hai jaise kisi se dosti apni

(1058) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-mahtab Bhi Apni Bhari-barsat Bhi Apni In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Shab-e-mahtab Bhi Apni Bhari-barsat Bhi Apni is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Shab-e-mahtab Bhi Apni Bhari-barsat Bhi Apni for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Shab-e-mahtab Bhi Apni Bhari-barsat Bhi Apni in PDF.