Talab Aasudgi Ki Arsa-e-duniya Mein Rakhte Hain

talab aasudgi ki arsa-e-duniya mein rakhte hain

umid-e-fasl-e-gul hai aur qadam sahra mein rakhte hain

hue hain is qadar manus hum paiman-e-farda se

ki ab dil ka safina hijr ke dariya mein rakhte hain

bashar ko dekhiye ba-in-hama sahil pe marta hai

hubab apna asasa sail-e-be-parwa mein rakhte hain

hamare pas koi gardish-e-dauran nahin aati

hum apni umr-e-fani saghar-o-mina mein rakhte hain

hamein har gam par milta raha ezaz-e-mahrumi

waqar apna bahut hum dida-e-dunia mein rakhte hain

umidon ke khanDar mayusiyon ke dam-ba-KHud sae

baDi hi raunaqen hum is dil-e-tanha mein rakhte hain

hamare daur ke insan KHud apni hi zid nikle

talab mazi ki hoti hai qadam farda mein rakhte hain

'zahir' in dil-zadon ki azmaten dekho ye parwane

charagh-e-ishq raushan wadi o sahra mein rakhte hain

(1042) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Talab Aasudgi Ki Arsa-e-duniya Mein Rakhte Hain In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Talab Aasudgi Ki Arsa-e-duniya Mein Rakhte Hain is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Talab Aasudgi Ki Arsa-e-duniya Mein Rakhte Hain for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Talab Aasudgi Ki Arsa-e-duniya Mein Rakhte Hain in PDF.