Teri Chashm-e-tarab Ko Dekhna PaDta Hai Pur-nam Bhi

teri chashm-e-tarab ko dekhna paDta hai pur-nam bhi

mohabbat KHanda-e-be-bak bhi hai girya-e-gham bhi

thakan tere badan ki uzr koi DhunDh hi leti

hadis-e-mahfil-e-shab kah rahi hai zulf barham bhi

ba-qadr-e-dil yahan se shola-e-jaan-saz milta hai

charagh-e-husn ki lau shoKH bhi hai aur maddham bhi

meri tanhaiyon ki dil-kashi teri bala jaane

meri tanhaiyon se pyar karta hai tera gham bhi

bahaaron ke ghazal-KHwan aaj ye mahsus karte hain

pas-e-diwar-e-gul roti rahi hai chashm-e-shabnam bhi

qarib aate magar kuchh fasla bhi darmiyan rahta

kami ye rah gai hai bawajud-e-rabt-e-baham bhi

'zahir' un ko hamare dil ki har shoKHi gawara thi

unhen karna paDega ab hamare dil ka matam bhi

(1056) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Chashm-e-tarab Ko Dekhna PaDta Hai Pur-nam Bhi In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Teri Chashm-e-tarab Ko Dekhna PaDta Hai Pur-nam Bhi is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Teri Chashm-e-tarab Ko Dekhna PaDta Hai Pur-nam Bhi for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Teri Chashm-e-tarab Ko Dekhna PaDta Hai Pur-nam Bhi in PDF.