Tu Agar Ghair Hai Nazdik-e-rag-e-jaan Kyun Hai

tu agar ghair hai nazdik-e-rag-e-jaan kyun hai

na-shanasa hai to phir mahram-e-pinhan kyun hai

hijr ke daur mein har daur ko shamil kar len

is mein shamil yahi ek umr-e-gurezan kyun hai

aaj ki shab to bujha rakkhe hain yaadon ke charagh

aaj ki shab meri palkon pe charaghan kyun hai

aur bhi log hain maujud bayabanon mein

dast-e-wahshat mein faqat mera gireban kyun hai

dil to muddat se kaDi dhup mein jalta hai 'zahir'

aag barsata hua abr-e-bahaaran kyun hai

(1050) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Agar Ghair Hai Nazdik-e-rag-e-jaan Kyun Hai In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Tu Agar Ghair Hai Nazdik-e-rag-e-jaan Kyun Hai is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Tu Agar Ghair Hai Nazdik-e-rag-e-jaan Kyun Hai for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Tu Agar Ghair Hai Nazdik-e-rag-e-jaan Kyun Hai in PDF.