Wo Aksar Baaton Baaton Mein Aghyar Se Puchha Karte Hain

wo aksar baaton baaton mein aghyar se puchha karte hain

ye sar-ba-gireban diwane kis shai ka taqaza karte hain

ek din tha ki sahil par baiThe tufan pe tabassum karte the

ab mayusi ke aalam mein sahil ka tamasha karte hain

KHatra hai wafa ke luTne ka majburi-e-dil bhi lazim hai

jine ki tamanna karte hain marne ka taqaza karte hain

masum sitamgar ki baaten mazlum ada ke afsane

yun raat basar ho jati hai yun dil ka mudawa karte hain

jab nadani ka aalam tha hasil ki tamanna karte the

ab dil mein aag lagate hain shoalon ka tamasha karte hain

apne mein rahe to ruswai apne se gae to saudai

hum muddat se diwangi-e-duniya ka tamasha karte hain

(1033) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Aksar Baaton Baaton Mein Aghyar Se Puchha Karte Hain In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Wo Aksar Baaton Baaton Mein Aghyar Se Puchha Karte Hain is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Wo Aksar Baaton Baaton Mein Aghyar Se Puchha Karte Hain for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Wo Aksar Baaton Baaton Mein Aghyar Se Puchha Karte Hain in PDF.