KHushi Se Apna Ghar Aabaad Kar Ke

KHushi se apna ghar aabaad kar ke

bahut roenge tum ko yaad kar ke

KHayal o KHwab bhi hain sar jhukae

ghulami baKHsh di aazad kar ke

jo kahne ke liye hi aabru thi

wo izzat bhi gai fariyaad kar ke

parinde sar pe ghar rakkhe hue hain

mujhe chhoDenge ye sayyaad kar ke

yahan waise bhi kya aabaad rahta

ye dhaDka to gaya barbaad kar ke

kahan hamdardiyon ki dad milti

bahut achchhe rahe bedad kar ke

use bhi kya pata tha haal apna

taDapta hai sitam ijad kar ke

(906) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushi Se Apna Ghar Aabaad Kar Ke In English By Famous Poet Zaheer Rahmati. KHushi Se Apna Ghar Aabaad Kar Ke is written by Zaheer Rahmati. Read famous Poem KHushi Se Apna Ghar Aabaad Kar Ke for youth and Student by Zaheer Rahmati. Free Download KHushi Se Apna Ghar Aabaad Kar Ke in PDF.