Jo Hausla Ho To Halki Hai Dopahar Ki Dhup

jo hausla ho to halki hai dopahar ki dhup

tunak-mizajon ko lagti hai yun qamar ki dhup

mere junun-e-qadam ne baDa hi kaam kiya

jo gard-e-rah baDhi kam hui safar ki dhup

safa-e-shisha-e-ariz pe khul gai hai shafaq

jo un ke ruKH pe paDi hai meri nazar ki dhup

shab-e-visal ki ye sham bhi hai rashk-e-sahar

mahak mahak ke sarakti hai baam-o-dar ki dhup

bujhi to gauhar-e-mizhgan-e-yar mein chamki

KHusha-nasib meri umr-e-muKHtasar ki dhup

abhi se shikwa-e-hiddat abhi tapish ka gila

abhi to tere muqabil hui sahar ki dhup

'zahir' teri jabin kyun araq araq hai abhi

abhi to rah mein baqi hai dopahar ki dhup

(1138) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Hausla Ho To Halki Hai Dopahar Ki Dhup In English By Famous Poet Zaheer Siddiqui. Jo Hausla Ho To Halki Hai Dopahar Ki Dhup is written by Zaheer Siddiqui. Read famous Poem Jo Hausla Ho To Halki Hai Dopahar Ki Dhup for youth and Student by Zaheer Siddiqui. Free Download Jo Hausla Ho To Halki Hai Dopahar Ki Dhup in PDF.