ZaKHm-e-taza Barg-e-gul Mein Muntaqil Hote Gae

zaKHm-e-taza barg-e-gul mein muntaqil hote gae

panja-e-saffak mein KHanjar KHajil hote gae

did ke qabil tha un sahra-nawardon ka junun

manzilen milti gain hum muzmahil hote gae

nur ka rishta sawad-e-jism se kaTta gaya

hum bhi aaKHir baad o aatish aab-o-gil hote gae

KHun mein unche chanaron ke na hiddat aa saki

yun ba-zahir sabz patte mushtail hote gae

dil ke daftar mein tha jazbon ka taqarrur aarzi

han jo un mein mo'tabar the mustaqil hote gae

jaise jaise aagahi baDhti gai waise 'zahir'

zehn o dil ek dusre se munfasil hote gae

(1212) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ZaKHm-e-taza Barg-e-gul Mein Muntaqil Hote Gae In English By Famous Poet Zaheer Siddiqui. ZaKHm-e-taza Barg-e-gul Mein Muntaqil Hote Gae is written by Zaheer Siddiqui. Read famous Poem ZaKHm-e-taza Barg-e-gul Mein Muntaqil Hote Gae for youth and Student by Zaheer Siddiqui. Free Download ZaKHm-e-taza Barg-e-gul Mein Muntaqil Hote Gae in PDF.