Wajud Us Ka Kabhi Bhi Na Luqma-e-tar Tha

wajud us ka kabhi bhi na luqma-e-tar tha

wo har niwale mein danton ke bich kankar tha

alag alag the dil o zehn bad-nasibon ke

ajib baat hai har dhaD pe ghair ka sar tha

na jaane hum se gila kyun hai tishna-kaamon ko

hamare hath mein mai thi na daur-e-saghar tha

lahuluhan hi kar deta pa-e-laghzish ko

subut deta ki wo raste ka patthar tha

bahut hi KHub tha wo indimal se pahle

ki zaKHm-e-taza to dagh-e-siyah se behtar tha

qarib KHatm tha gulshan ka karobar 'zahir'

rag-e-gulu ko magar intizar-e-KHanjar tha

(896) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wajud Us Ka Kabhi Bhi Na Luqma-e-tar Tha In English By Famous Poet Zaheer Siddiqui. Wajud Us Ka Kabhi Bhi Na Luqma-e-tar Tha is written by Zaheer Siddiqui. Read famous Poem Wajud Us Ka Kabhi Bhi Na Luqma-e-tar Tha for youth and Student by Zaheer Siddiqui. Free Download Wajud Us Ka Kabhi Bhi Na Luqma-e-tar Tha in PDF.