Chal Diya Wo Us Tarah Mujhko Pareshan ChhoD Kar

chal diya wo us tarah mujh ko pareshan chhoD kar

mausam-e-gul jaise jae hai gulistan chhoD kar

go bharosa hai mujhe apne KHulus-e-shauq par

kaun aaega yahan jashn-e-bahaaran chhoD kar

wo jo apne sath laya tha gulistan ki bahaar

ja raha hai ab kahan wo ghar ko viran chhoD kar

yun laga mujh ko ki goya hashr barpa ho gaya

yak-ba-yak wo chal diya mera shabistan chhoD kar

mujh ko shauq-e-husn mein tahzib hazir chahiye

gulistan mein aa gaya hun main bayaban chhoD kar

lala-o-gul mein ayan hain husn-e-fitrat ke rumuz

mutmain hun ishq mein dasht-o-bayaban chhoD kar

yun sar-e-mahfil waqar-e-husn ko ruswa na kar

us ka daman tham le apna gareban chhoD kar

ji raha hun rashk ke mahaul mein kuchh is tarah

jis tarah yusuf gaya tha arz-e-kanan chhoD kar

main ne KHud us ke tasawwur ko bulaya hai yahan

ab nahin jaunga bahar ghar mein mehman chhoD kar

ho gaya paida nizam-e-gul mein behad intishaar

jab gaya gulshan mein wo zulfen pareshan chhoD kar

sozish-e-ulfat mujhe matlub hai bahr-e-hayat

ho gaya hun mutmain main rasm-e-darman chhoD kar

kis qadar zabt-e-junun ne kar diya hai hoshiyar

daman-e-ummid thama hai gareban chhoD kar

main talash-e-husn se aisa hua hun munsalik

ja raha hun zindagi ka saz-o-saman chhoD kar

(1341) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chal Diya Wo Us Tarah Mujhko Pareshan ChhoD Kar In English By Famous Poet Zahid Chaudhry. Chal Diya Wo Us Tarah Mujhko Pareshan ChhoD Kar is written by Zahid Chaudhry. Read famous Poem Chal Diya Wo Us Tarah Mujhko Pareshan ChhoD Kar for youth and Student by Zahid Chaudhry. Free Download Chal Diya Wo Us Tarah Mujhko Pareshan ChhoD Kar in PDF.