Chala Hun Ghar Se Main Ahwal-e-dil Sunane Ko

chala hun ghar se main ahwal-e-dil sunane ko

wo muntazir hain mera zabt aazmane ko

raqib sath hai aur zer-e-lab tabassum hai

ajab tarah se wo aaya hai dil dukhane ko

agarche bazm-e-tarab mein hawas ka ghalba hai

main aa gaya hun mohabbat ke git gane ko

main ja raha hun wahan jabki az-rahe-tafrih

saji hai bazm mera shauq aazmane ko

rawish rawish mein hai afsurdagi ki afzaish

wo phir bhi nikle hain tafrih-e-gul manane ko

junun-e-ishq mera jabki ek haqiqat hai

alag karunga main is ishq se fasane ko

main chahta tha mera ishq ek raaz rahe

wo aa gaya to KHabar ho gai zamane ko

wo jin se mujh ko tawaqqo thi pasbani ki

wo aa gae hain mera aashiyan jalane ko

janab-e-shaiKH ki ye wo ruKHi maaz-allah

hui hai shab to chale hain sharab-KHane ko

rah-e-hayat mein bahrupiyon se waqif hun

jo gham-gusar bane mera dil dukhane ko

jo be-KHabar hain sarapa wo phir rahe hain aaj

qadam qadam pe nai dastan sunane ko

jidhar nigah uThao rawan hai KHun-e-jigar

KHabar nahin ki ye kya ho gaya zamane ko

(964) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chala Hun Ghar Se Main Ahwal-e-dil Sunane Ko In English By Famous Poet Zahid Chaudhry. Chala Hun Ghar Se Main Ahwal-e-dil Sunane Ko is written by Zahid Chaudhry. Read famous Poem Chala Hun Ghar Se Main Ahwal-e-dil Sunane Ko for youth and Student by Zahid Chaudhry. Free Download Chala Hun Ghar Se Main Ahwal-e-dil Sunane Ko in PDF.