Jab Aashiqi Mein Mera Koi Raaz-dan Nahin

jab aashiqi mein mera koi raaz-dan nahin

aisi lagi hai aag ki jis ka dhuan nahin

go main sharik-e-bazm sar-e-asman nahin

wo raaz kaun sa hai jo mujh par ayan nahin

main sochta hun zist mein nakaam ho gaya

mere KHulus-e-shauq ka jab imtihan nahin

mera maqam ishq-e-butan mein hai be-misal

go main rahin-e-minnat-e-pir-e-mughan nahin

wo aashiqi nahin hai koi karobar hai

jis aashiqi mein garmi-e-soz-e-nihan nahin

main soz-o-saz-e-shauq mein had se guzar gaya

ab is safar mein mera koi karwan nahin

meri nawa-e-gham mein hai shamil fughan-e-gul

kaise kahun chaman mein koi ham-zaban nahin

mamur ho gaya hai wo soz-e-hayat se

jo mubtala-e-gardish-e-kaun-o-makan nahin

shauq-e-safar mein walwala-e-dil nahin raha

dushman rah-e-hayat mein jab aasman nahin

(1600) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Aashiqi Mein Mera Koi Raaz-dan Nahin In English By Famous Poet Zahid Chaudhry. Jab Aashiqi Mein Mera Koi Raaz-dan Nahin is written by Zahid Chaudhry. Read famous Poem Jab Aashiqi Mein Mera Koi Raaz-dan Nahin for youth and Student by Zahid Chaudhry. Free Download Jab Aashiqi Mein Mera Koi Raaz-dan Nahin in PDF.