Nahin Ye Rasm-e-mohabbat Ki Ishtibah Karo

nahin ye rasm-e-mohabbat ki ishtibah karo

kiya hai ishq to har haal mein nibah karo

nahin hai ishq to phir zindagi mein kuchh bhi nahin

kisi se ishq karo aur be-panah karo

karunga main teri mahfil ki raunaqen do-chand

meri taraf bhi agar lutf ki nigah karo

suna hai sair-e-chaman ko wo aa rahe hain aaj

junun-e-shauq ko bar-waqt intibah karo

shiar-e-husn ki tauqir ka taqaza hai

mariz-e-ishq se tajdid-e-rasm-o-rah karo

meri tarah na raho aalam-e-taKHayyul mein

meri tarah na bhari zindagi tabah karo

agar maqam hai matlub bazm-e-ulfat mein

gham-e-firaq ki shiddat mein zabt-e-ah karo

jahan mein rasm-e-sitam nang-e-admiyat hai

sitam ke daur ki har chiz ko tabah karo

namaz-e-did ke anjam par mujhe dil ka

ye mashwara hai ki ab tauf-e-jalwa-gah karo

janab-e-shaiKH ko dekha hai main ne KHalwat mein

agar yahi hai sharafat to phir gunah karo

shiar-e-makr-o-riya maulwi se mat sikho

na apne nama-e-amal ko siyah karo

(1214) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Ye Rasm-e-mohabbat Ki Ishtibah Karo In English By Famous Poet Zahid Chaudhry. Nahin Ye Rasm-e-mohabbat Ki Ishtibah Karo is written by Zahid Chaudhry. Read famous Poem Nahin Ye Rasm-e-mohabbat Ki Ishtibah Karo for youth and Student by Zahid Chaudhry. Free Download Nahin Ye Rasm-e-mohabbat Ki Ishtibah Karo in PDF.