Wo Aaftab Mein Hai Aur Na Mahtab Mein Hai

wo aaftab mein hai aur na mahtab mein hai

jo raushni ki tere husn-e-be-naqab mein hai

chaman mein lala-o-gul sharmsar hote hain

ajab tarah ka asar husn-e-be-naqab mein hai

main apne ishq-e-farawan pe naz karta hun

mera kamal mere husn-e-intiKHab mein hai

ujaD gaya hai mera gulshan-e-hayat magar

junun-e-shauq mera aalam-e-shabab mein hai

najat us ki ba-juz aashiqi nahin hogi

phansa hua jo zamane ke pech-o-tab mein hai

wo bazm-e-shauq mein shamil kabhi nahin hoga

jo bewaquf ki uljha hua hisab mein hai

wo walwala hai meri zindagi ki ruh-e-rawan

jo walwala ki mere shauq-e-be-hisab mein hai

wo be-naqab kiya jiddat-e-taKHayyul ne

jo raaz-e-kohna riwayat ke naqab mein hai

maal-e-josh-e-amal sar-bulandi-e-qatra

ye raaz-e-zist nihan KHema-e-habab mein hai

sukut mein hai zamane ki maut poshida

hayat wo hai jo har lahza iztirab mein hai

mujhe qubul nahin roz-o-shab ki KHamoshi

meri hayat faqat shor-e-inqalab mein hai

(1175) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Aaftab Mein Hai Aur Na Mahtab Mein Hai In English By Famous Poet Zahid Chaudhry. Wo Aaftab Mein Hai Aur Na Mahtab Mein Hai is written by Zahid Chaudhry. Read famous Poem Wo Aaftab Mein Hai Aur Na Mahtab Mein Hai for youth and Student by Zahid Chaudhry. Free Download Wo Aaftab Mein Hai Aur Na Mahtab Mein Hai in PDF.