Main Ki Afsurda Makanon Mein Rahun

main ki afsurda makanon mein rahun

aaj bhi guzre zamanon mein rahun

raat hai sar par koi suraj nahin

kis liye phir saebanon mein rahun

kya wasila ho mere izhaar ka

lafz hun gungi zabanon mein rahun

kaun dekhega yahan taqat meri

tir hun TuTi kamanon mein rahun

bheDiye hain chaar-su biphre hue

niche utrun ya machanon mein rahun

mere hone ka ho kuchh to faeda

hun hawa to baadbanon mein rahun

rabta rakhkhun zaminon se magar

aasmanon ki uDanon mein rahun

ye bhi kya 'faKHri' ki purzon ki tarah

raat din main kar-KHanon mein rahun

(1129) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Main Ki Afsurda Makanon Mein Rahun In English By Famous Poet Zahid Fakhri. Main Ki Afsurda Makanon Mein Rahun is written by Zahid Fakhri. Read famous Poem Main Ki Afsurda Makanon Mein Rahun for youth and Student by Zahid Fakhri. Free Download Main Ki Afsurda Makanon Mein Rahun in PDF.