Sitare Chup Hain Ki Naghma-sara Samundar Hai

sitare chup hain ki naghma-sara samundar hai

shab-e-KHamosh ke dil ki sada samundar hai

sukut-e-lab ko sadaon ka pesh-rau samjho

ki rud-bar ke aage khula samundar hai

wo dekhta hai mere iztirab ko hans kar

main tez-rau hun wo Thahra hua samundar hai

mah-o-nujum dikhate hain aaina us ko

falak ke samne chehra-numa samundar hai

miTa chale hain masafat ka naqsh ahl-e-talab

hawa saron mein hai aur zer-e-pa samundar hai

nazar mein surat-e-sahil abhi nahin aai

mere safar ka har ek marhala samundar hai

(951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitare Chup Hain Ki Naghma-sara Samundar Hai In English By Famous Poet Zahid Farani. Sitare Chup Hain Ki Naghma-sara Samundar Hai is written by Zahid Farani. Read famous Poem Sitare Chup Hain Ki Naghma-sara Samundar Hai for youth and Student by Zahid Farani. Free Download Sitare Chup Hain Ki Naghma-sara Samundar Hai in PDF.