Tira-o-tar Zaminon Ke Ujale Dariya

tira-o-tar zaminon ke ujale dariya

hum ne sahraon ke sine se nikale dariya

wadiyan aaen to aaram se so jate hain

faslon se na kabhi haarne wale dariya

chahte the ki phiren ru-e-zamin par har su

ban gae rah mein ghaaron ke niwale dariya

tujh se chhuTne pe tere dhyan ki aaghosh mili

kar gaya mujh ko samundar ke hawale dariya

ai zamin sukh rahe hain tere pyase jangal

kya hue hain teri aaghosh ke pale dariya

kis tarah dard ka tufan mere sine mein thame

kis tarah apni rawani ko sambhaale dariya

(946) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tira-o-tar Zaminon Ke Ujale Dariya In English By Famous Poet Zahid Farani. Tira-o-tar Zaminon Ke Ujale Dariya is written by Zahid Farani. Read famous Poem Tira-o-tar Zaminon Ke Ujale Dariya for youth and Student by Zahid Farani. Free Download Tira-o-tar Zaminon Ke Ujale Dariya in PDF.