Usi Ki Dhun Mein Kahin Naqsh Pa Gaya Hai Mera

usi ki dhun mein kahin naqsh pa gaya hai mera

jo aa ke KHwab mein dar khaTkhaTa gaya hai mera

guzar gaya hai jo pahlu bacha ke mujh se to kya

nazar jhuka ke wo ghar dekhta gaya hai mera

hun muztarib teri gum-gashta aarzu ke liye

dukan-e-dil se dur-e-be-baha gaya hai mera

asir-e-gumbad-e-be-dar paDa hun muddat se

mere hi dil pe wo pahra biTha gaya hai mera

qadam qadam pe dayar-e-wafa ke raste mein

meri zaban se fasana suna gaya hai mera

muhit hai mere diwar-o-dar pe tanhai

na jaane kaun ise ghar bata gaya hai mera

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usi Ki Dhun Mein Kahin Naqsh Pa Gaya Hai Mera In English By Famous Poet Zahid Farani. Usi Ki Dhun Mein Kahin Naqsh Pa Gaya Hai Mera is written by Zahid Farani. Read famous Poem Usi Ki Dhun Mein Kahin Naqsh Pa Gaya Hai Mera for youth and Student by Zahid Farani. Free Download Usi Ki Dhun Mein Kahin Naqsh Pa Gaya Hai Mera in PDF.