Wahi LaDki Wahi LaDka Purana

wahi laDki wahi laDka purana

kahin hota hai ye qissa purana

akele-pan mein ab ek tazgi hai

hua jata hai har rishta purana

jahan-e-aql ka insan jahil

naya jughrafiya naqsha purana

jahan dekho wahi farsuda manzar

jidhar niklo wahi rasta purana

naya shair bhi uljha hai zaban mein

ye ustadon se bhi nikla purana

na uktao jo be-par ki uDae

ki 'zahid' yar hai apna purana

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi LaDki Wahi LaDka Purana In English By Famous Poet Zahid Farani. Wahi LaDki Wahi LaDka Purana is written by Zahid Farani. Read famous Poem Wahi LaDki Wahi LaDka Purana for youth and Student by Zahid Farani. Free Download Wahi LaDki Wahi LaDka Purana in PDF.