Ek Awami Nazm

hum KHali peT sarhad par

hathon ki amn zanjir nahin bana sakte

bhuk hamari raaten KHushk kar deti hai

aansu kabhi pyas nahin bujhate

rajaz qaumi tarana ban jae

to zarKHezi qahat ugane lagti hai

bachche man ki chhatiyon se

KHun chusne lagte hain

koi chehron pe parcham nahin banata

aur yaum-e-azadi par log

phul-jhaDiyan nahin apni KHushiyan jalate hain

fauj kabhi naghme nahin gunguna sakti

ki sipahi khetiyan ujaDne wale

KHud-kar auzar hote hain

kya phul nau-biyahata aurat ke baalon

aur bachchon ke libas par hi jachta hai

kash

watan ki had hudud ke tayyun ke liye

phulon ki kiyariyan

aahini-taron ka mutabaadil hotin

(1079) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Awami Nazm In English By Famous Poet Zahid Imroz. Ek Awami Nazm is written by Zahid Imroz. Read famous Poem Ek Awami Nazm for youth and Student by Zahid Imroz. Free Download Ek Awami Nazm in PDF.