Chor Darwaza Khula Rahta Hai

mere KHwab zaKHmi hue

to duniya ke sare zabte jhuTe lage

main ne zindagi ke liye bhik mangi

magar aabaad lamhon ki puja ke liye

waqt kabhi mere liye na ruka

mujhe west-pan se apnaiyat mahsus hui

log kaghazon se bane khilaune the

jinhen hamesha KHilaf-e-marzi nachna paDa

bhige sahilon ki hawa mein KHun hi KHun tha

jhilon ke aabaad kinare mujhe banjar kar gae

pani par tairta manzar daghabaz nikla

main muKHalif samt bahti kashtiyon mein

ba-yak-waqt sawar ho gaya

baadal baras gae

to aasman par dhuan rah gaya

main ne KHud ko dhuwen mein uDaya

aur masrufiyat se sauda kar liya

(1487) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chor Darwaza Khula Rahta Hai In English By Famous Poet Zahid Imroz. Chor Darwaza Khula Rahta Hai is written by Zahid Imroz. Read famous Poem Chor Darwaza Khula Rahta Hai for youth and Student by Zahid Imroz. Free Download Chor Darwaza Khula Rahta Hai in PDF.