Kaenati Gard Mein Barsat Ki Ek Sham

waise to pahaD zamin ka sukDa hua libas hain

lekin jab barish hoti hai

un ki silwaTon par ujlahaT ug aati hai

sanp ki dum si saDak par chalte hue

mausam mujhe apni kunDli mein qaid kar leta hai

lahr-dar-lahr munqasim pahaDon ka husn

rangon ki is dhundhlahaT mein poshida hai

jise hamari bimar aankhen kabhi munakis nahin kar patin

barish ke baad

jab dharti apne maile kapDe utarti hai

main har sham, raazon ke taaqub mein

us ke daudi badan par phail jata hun

aur diwaren phalangta, KHuda ke shikasta sahn mein

naqab lagata hun

mere wajud mein ek andha KHala phailne lagta hai

main dekhta hun

aasman mein koi uqab chhapa hai

jo hamari zindagiyon ke chuze uchak raha hai

main un daraKHton se muKHatab hota hun

jin ki jaDon mein chyunTiyan

apni maut par sogwar rahti hain

bhigi shaKHon par sahme kawwe raat bhar kanpte rahte hain

kitni be-rahm lagti hai zindagi!

jahan maut barasti hai

aur lakhon sansen be-waqat aawara kutton ki tarah

mar jati hain

wahan phir muskuraata ghana jangal ug aata hai

is la-mutanahi wusat mein hum sabun par chimTe baal se

zyaada kuchh nahin rahte

waqt jise, eDi par jame mel ki tarah dho Dalta hai

main apni zaif scienci quwwat se mahsus karta hun

sab se azim dukh yahi hai

ki kaenat hamari dastaras mein nahin

is ranjuri safar se be-bas lauTte hue

main juton se miTTi jhaDta hun

aur khiDki se jhankte ujle manzar mein

be-fikri ki chae pine lagta hun

dur pahaDon par, musalsal barish hoti rahti hai

(1394) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaenati Gard Mein Barsat Ki Ek Sham In English By Famous Poet Zahid Imroz. Kaenati Gard Mein Barsat Ki Ek Sham is written by Zahid Imroz. Read famous Poem Kaenati Gard Mein Barsat Ki Ek Sham for youth and Student by Zahid Imroz. Free Download Kaenati Gard Mein Barsat Ki Ek Sham in PDF.