Main Achchha Fankar Nahin

parinde mujh se dana hain

apni masumiyat zinda rakhne ke liye

hijrat kar jate hain

lomaDiyan apna dushman pahchan leti hain

bheDen apni un se KHwab bunti rahti hain

log apne malikon ki lanat sameT kar bhi

un ke qadam mapte rahte hain

jaise bhi ho

zinda rahna ek fan hai

zindagi ke khel mein ab tak

main izafi kirdar hi raha hun

jise kabhi bhi khel-badar kiya ja sakta hai

(863) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Achchha Fankar Nahin In English By Famous Poet Zahid Imroz. Main Achchha Fankar Nahin is written by Zahid Imroz. Read famous Poem Main Achchha Fankar Nahin for youth and Student by Zahid Imroz. Free Download Main Achchha Fankar Nahin in PDF.