Mera Ghussa Kahan Hai?

main aasman ke sath phaili sham ki naranji raushni hun

ya suraj ki aankh mein rengti surKH dhaar?

kya hai mera wajud?

yaum-e-id qurban hoti bheDon ka sabr

ya hiron ke taaqub mein koela koela phirti KHwahish?

main sarma mein ababilon ki murjhai ruh hun

ya sarmast daraKHton ki choTiyon mein madhosh hawa?

han main raat ki jhilmilati raushniyon ke pichhe

uljhi aaluda shikan hun

bachcha janti man ki aaKHiri chiKH meri mohabbat hai

main rah-giron ki la-parwah KHushi mein

sahma KHauf hun

main gautam ke muskuraate ruKHsaron ka lams hun

satwen aasman par ghota-zan parinde

agar meri pur-sukun ruh mein parwaz karte hain

to phir ye kaisa bojh hai

jo tumhaare chhoD jaane ke baad

is ghubar-alud sine mein jamne laga hai?

lekin mera ghussa kis sher ke badan mein jharjharaata hai?

meri aag kis uqab ki aankhon mein kapkapati hai?

jise tumhaari hansi tumhaare makkar dil

aur tumhaari dhoke-baz naf mein unDel sakun!

(1376) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Ghussa Kahan Hai? In English By Famous Poet Zahid Imroz. Mera Ghussa Kahan Hai? is written by Zahid Imroz. Read famous Poem Mera Ghussa Kahan Hai? for youth and Student by Zahid Imroz. Free Download Mera Ghussa Kahan Hai? in PDF.