Mera Koi Dost Nahin

chiKHen mujhe kabhi riha nahin kartin

mujhe malum hai

har manzar mein ek chiKH chhupi hai

main jahan bhi jata hun

koi na koi chiKH mujhe pahchan leti hai

main apni KHamoshi ki muKHalif samt

KHauf-zada ho kar bhagne lagta hun

isi bokhalahaT mein chiKHon ke kai jhunD

mujhe bhiDon ki tarah gher lete hain

bhagte hue main qabristan mein pahunch jata hun

jahan har qabr mein ek chiKH dafn hai

mujhe dekh kar

chiKHen mere gird hawa mein tairne lagi hain

aur mujh se chiKH ban jaane ka mutalba karti hain

baqa ki jang laDte hue

ab mere hath bazuon se girne wale hain

aur haarne ke liye mera koi dost nahin

main mahsus kar raha hun

mera chiKHon se bandha hua jism

jab gunjne ke qarib hoga

main kisi KHushk dariya ke kinare

surKH rang mein luthDi chiKH bana lunga

aur miTTi meri qabr banane mein masruf hogi

(1230) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Koi Dost Nahin In English By Famous Poet Zahid Imroz. Mera Koi Dost Nahin is written by Zahid Imroz. Read famous Poem Mera Koi Dost Nahin for youth and Student by Zahid Imroz. Free Download Mera Koi Dost Nahin in PDF.