Tazad Ki Kasht

main ne kai rang ke sae sunghe hain

magar diwaron par kanda kiye phulon mein

kabhi KHushbu nahin mahki

mohabbat ruh mein tab utarti hai

jab ghamon ki ret aur aansuon se

hum apne andar shikastagi tamir karte hain

jis qadar bhi hans lo

najat ka koi rasta nahin

tum mohabbat ke gunahgar ho

sau gham tumhaari haDDiyon mein phaila hua hai

apne amiq tajrabe se batao

ek mohabbat mapne ke liye

hamein dusri mohabbat kyun talashna paDti hai

main jama ho kar kam paD gaya hun

kahin aisa to nahin

irtiqa ki jald-bazi mein

main ne do nafi joD liye hain

(876) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tazad Ki Kasht In English By Famous Poet Zahid Imroz. Tazad Ki Kasht is written by Zahid Imroz. Read famous Poem Tazad Ki Kasht for youth and Student by Zahid Imroz. Free Download Tazad Ki Kasht in PDF.