Thuka Hua Aadmi

zindagi ne mujhe lakir par chalna sikhaya

main ne munharif hona sikh liya

us ki andam-e-nahani

sanp janne mein masruf rahi

aur wo unhen marne mein

wo bhi kya karti

raat bhar meri jagah izhdiham soya raha

apni bekari se tang aa kar

main apna uzw nila karne chala aaya

aisa karna jurm hai

magar kya kya jae

ek bhuk miTane ke liye dusri KHaridni paDti hai

adalat ne meri aazadi ke ewaz

mere KHusiye mang liye

logon ne mere mada-e-taulid se

diwaron par phul bana liye

aur ibaadat ke liye mera uzw

inhiraf ne mujhe kabhi qatar nahin banne diya

main ne hamesha chiyunTiyon ko gumrah kiya

ek din tang aa kar

zindagi ne mujhe thuk diya

(1406) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thuka Hua Aadmi In English By Famous Poet Zahid Imroz. Thuka Hua Aadmi is written by Zahid Imroz. Read famous Poem Thuka Hua Aadmi for youth and Student by Zahid Imroz. Free Download Thuka Hua Aadmi in PDF.