ZaKHmi KHwabon Ki Tisri Duniya

sadar-e-mumlikat ne

apni daulat ko zarb lagai

aur para-e-mulk mein ek qabr kirae par le li

ta-ki us ki lash mahfuz rahe

raushni ne duniya ka safar kiya

magar kisi adalat mein insaf na mila

ki andhe taraazu ne to kabhi aankhen hi nahin kholin

diwaren tamam raat jagti rahin

saman paDa raha

lekin gharon se laDkiyan chura li gain

ek jism ko kai jismon ne chhua

to bichaari ruhon ne apne chehron par qai ki

laDki man to bani biyahi na gai

us ne aansuon se ghusl kiya

magar pak na hui

hamein duniya mein hi dozaKH mili

kyunki hum us laDki ke ghar paida hue

jis ka bap faqe se mar gaya

aur man bewa-KHwabon ki ghuTan se

us raat chand ko qatl kar diya gaya

aur hum bhaiyon ne

viran saDak par KHud-kushi kar li

(1101) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ZaKHmi KHwabon Ki Tisri Duniya In English By Famous Poet Zahid Imroz. ZaKHmi KHwabon Ki Tisri Duniya is written by Zahid Imroz. Read famous Poem ZaKHmi KHwabon Ki Tisri Duniya for youth and Student by Zahid Imroz. Free Download ZaKHmi KHwabon Ki Tisri Duniya in PDF.