Waqt Ke Nam Ek KHat

zindagi bahut masruf ho gai hai

jo KHwab mujhe aaj dekhna tha

wo agli paidaish tak multawi karna paDa hai

bachpan mein lage zaKHm par marham rakhne ke liye

doctor ne abhi sirf wada kiya hai

kal ke liye sansen kamate hath

subh tak chae nahin pi sakte

lekin ghabrao nahin

sab ki yahi haalat hai

wo bata rahi thi

us ne apni suhag-raat tab manai

jab wo haiz ke baras guzar chuki thi

zindagi bahut masruf ho gai hai

apni sari punji bech kar

main ne chand lamhe ye kahne ke liye KHaride hain

ki jab kabhi main mar gaya

to koshish karna

mujhe agle janam se zara pahle dafna dena

(1397) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ke Nam Ek KHat In English By Famous Poet Zahid Imroz. Waqt Ke Nam Ek KHat is written by Zahid Imroz. Read famous Poem Waqt Ke Nam Ek KHat for youth and Student by Zahid Imroz. Free Download Waqt Ke Nam Ek KHat in PDF.